Monday, May 21, 2007

master-piece by qatil shifai, composed by naushad and rendered by mehndi hassan

zindagi mein to sabhi pyaar kiyaa karte hain
main to marr kar bhi meri jaan tujhe chaahungaa

tu milaa hai to ye aehsaas huaa hai mujhko
ye meri umr muhabbat ke liye thhodi hai
ik zaraa sa gham-e-daura ka haq hai jis par
maine woh saans bhi tere liye rakh chhodi hai
tujhpe ho jaaunga qurban tujhe chaahungaa
main to marr kar bhi meri jaan tujhe chaahungaa

apne jazbaat me naghmat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil me basaayaa hai tujhe
main tasavvur bhi judai ka bhalaa kaise karoon
maine qismat ki lakiron se churaayaa hai tujhe
pyaar kaa banke nigahbaan tujhe chaahungaa
main to marr kar bhi meri jaan tujhe chaahungaa

teri har chaap se jalte hain khayaalon me chiraag
jab bhi tu aaye, jagaataa huaa jaadu aaye
tujhko chhoo loon to fir ae jaan-e-tamannaa mujhko
der tak apne badan se teri khooshboo aaye
tu bahaaro ka hai gulfaam tujhe chaahungaa
main to marr kar meri jaan tujhe chaahunga

zindagi mein to sabhi pyaar kiyaa karte hain
main to marr kar bhi meri jaan tujhe chaahungaa

No comments: